egg roll
Ghar par ho aur kuch alag khane ka man ho. To ku na ghar par he rolls banaya jaye wo bahar jaisa he. Chaho to ghar ke saman se he aap apna pasandida rolls ready kar sakte ho.
Yha par apko easy aur simple recipe milega egg rolls ka. Isme ye v apko pta chlega ki kya kya fillings add kar sakte ho. Aj ke time ke hisab se aur bacho ki pasand. Healthy ke sath sath bacho ka pasand ka v pura dhyan rakha gya hai. Aur dono ko mila kar ready kiya gya hai kuch intersting aur delicious food.
Ghar ke saman ke sath he chaliye aaj ham banayenge sabki pasand wale recipes wo v kuch alag andaj me. Sabse pehle ham dekhenge simple egg roll recipe jisko banane me total 15-20 minute lagte hai. Dusra recipe hai scrambled egg rolls recipe. Isme v karib 15-20 minute lag jate hai. Tisra aur sabka favourite hai maggie egg roll recipe. Aur achi bat ye hai ki aap maggie fillings ko chahe to normal roti wale rolls me v bana sakte hai. Khas bat ye hai ki aap chahe to sabhi me cheese v add karsakte hai. In sabhi ko banane me 15-20 minute lagta hai. Aur achi bat ye ki pura family ks liye he itne time me dish ready hojata hai.
To bas chaliye step wise dekhte hai roll recipes.
egg roll recipe in hindi
Ingredients required:-
- White flour:- 1 Bowl
- Egg:- 4
- Paneer:- 1 cup
- Onion:- 3-4
- Lemon:- 3
- Salt
- Tomato sauce
- Green chilli
- Dahi
- Sugar
- Ek bowl me maida le. Ab usme 1 tea spoon salt aur 1 tea spoon sugar dale.
- Ab usme ek table spoon dahi, aur ek table spoon dalda dal kar mix kare.
- Achese mix karne ke bad ek dough ready kare aur upar me oil lagar kar dhak kar rakh denge.
- 30 minute bad dough ko le aur uske chote chote balls ready kare.
- Ab usko roll kare achese jaisa bhature ke liye ready karte hai same waisa he.
- Ab tawa garam karke 3 table spoon oil dale.
- Aur is chapati shape ko tawa par rakhe. Jab ek side ka chapati ready ho to palat kar dusre side v pakaye.
- Ab ek cup me ek egg ko dalkar sath me salt a pin dale aur mix kare achese.
- Ab us chapati par ye egg ko dale. Fir palat kar isko v seke.
- Ab jab ready hogya to nikal le. Aise he sare roll ka chapati ready kar le.
- Onion ko fine slices me cut karle aur fir green chilli ko. Dono ko mix karke half lemon juice isme sequeze karde.
- Ab chapati par chat masala aur salt spread kare. Fir upar me onion mixture ko dale aur fir grated paneer spread kare.
- Chopped coriander leaves spread kare.
- Aur last me tomato sauce dalkar roll banye.
- Lijiye ready hai egg rolls.
- Egg:- 4
- Roti:- 4
- Onion:- 4
- Capsicum:- 2
- Chat masala
- Salt
- Lemon
- Green chilli
- Tomato sauce
- Ek pan ko garam kare. Usme 2 table spoon oil dale.
- Ab usme 2 finely diced onion aur green chilli dale.
- Fir usme capsicum dale.
- Ab 3 minute tak saute kare. Fir eggs dale aur bhurji ready kare.
- Salt as per taste dal kar ready kare.
- Ab jab bhurji tyar hai to tawa garam kare.
- Usme 2-3 table spoon oil dale.
- Ab roti ko usme dal kar seke.
- Fir palat kar same seke.
- Ab usko nikal kar chat masala lagaye.
- Finely sliced onion , green chilli dale aur lemon squeze kare.
- Fir uske upar achese egg bhurji spread kare.
- Ap uske upar ketchup dale aur roll karke pack karde.
- Scrambled egg roll ready hai.
- Maggie ko boil kare.
- Ab usse pani ko alag kare aur thande pani se wash kare.
- Ab 1 tea spoon oil dalkar side me rakh de.
- Ek pan garam kare. Usme 3 table spoon oil dale.
- Finely chopped 2 onion and 1 capsicum ko dale aur saute kare.
- Fir isme maggie masala dalkar maggie ko dale aur mix kare. Achese 4-5 minute tak medium flame par mix kare.
- Ready hai maggie.
- Maida ka dough ready hai. To pichli bar ki tarah he chapati banakar tawa par seke.
- Ek egg ko chapati pe dale aur usko v seke.
- Ab usko nikal kar tomato sauce dale aur fir sliced onion aur green chilli dale. Ab chat masala sprinkle kare aur lemon juice squeze kare.
- Fir uske upar maggie 2-3 spoon dale.
- Chopped coriander leaves v dale aur roll karle.
- Ready hai hmara maggie egg roll.
- Ab ek pan rakhna ya tawa.
- Flame ko medium se v kam rakhna hai.
- Ab butter/ oil ek tea spoon tawa par lagakar roll ko rakh dena hai.
- Aur tawa ko dhak do.
- Flame ekdm kam rakhe taki roll jale nahi aur cheese achese melt hojye.
- 2-3 minute bad dekhenge ki cheese melt hogya hai.
- Ab use nikal de.
- Lijiye cheese roll v ready hai.
1 Comment
Thank you so much ❤️….aap jase log bacho ka dyan rakhte h😅 …jase ki humare jase 😂😂….aise hi banate rahiye oppo jii