” rugda recipe jharkhand in hindi “
Isse vegetarian meat dish v kaha jata hai. Kuki isme meat ka taste v ata hai. Aksar jo log vegetarian hai Wolog ko bhut pasand hota hai. Specially Jharkhand ka ye famous dish hai to yaha ke sabhi logo ko bhut pasand ata hai.
Monsoon time me Jharkhand me sabse jyada milne wala food hai rugda. Yaha bhut jungle hai jiske wajah se hame rugda dekhne ko milta hai. Monsoon start hote he 1-2 month bad se he rugda market me milne lgta hai ya fir jo gao me rehte hai waha v milta hai. Aksar ham mushroom , rugda packets me milte hue dekhe hai, wo v pure season me. Lekin agar difference dekhe to freshness me difference milega. Jaise avi fresh milega waisa baki seasons me ni milta.
To ku na ham season ke sath chale aur season foods ko try kare. Ab daily to possible ni hai ek he chiz khana magar ek food se ham 3-4 items/ dishes to bana sakte hai. Ku ham wahi boring har time wali dish ready kare. Ab season wise kha re to kuch alag aur tasty dish ready ho to bat he alag hai. Isly hamne apke liye kuch alag -alag dishes experiment kiya hai. Aur uss experiment se hame mila kuch amazing sa rugda recipe jo ham aap logo ke sath aaj yaha share karenge. And I promise ki ye kafi successful recipe hai aur aap logo ko v kafi pasand ayega.
To sabse pehla recipe hai :-
“Rugda curry recipe”
Isme ham chicken masala ya fir meat masala v dalte hai taki ye dish aur v delicious lage. Jinko nahi ata banana ya fir lgta hai bhut hard hai to chaliye mai apko btati hoon easy rugda curry recipe aur fried rugda masala recipe. Jisko banana asan ke sath sath ghar ke saman se he ban jayega.
Aksar non vegetarian log ise chicken ya meat ke sath v khate hai.
Rugda ko ham chawal , roti ke sath khate hai.
Ingredients required:-
- rugda :- 1 bowl
- Onion:- 1cup
- Capsicum:- 1/2 cup
- Tomato:- 1 cup
- Elaichi:- 2-3
- Bay leaf:- 1
- Red chilli:- 2-3
- Cinnamon:- 1
- Black pepper:- 4
- Ginger garlic paste:- 2 table spoon
- Dhaniya powder:- 1 table spoon
- Jeera powder:- 1 tea spoon
- Red chilli powder:- 1 table spoon
- Garam masala:- 1 table spoon
- Haldi:- 1 tea spoon
- Salt
- Mustard Oil:- 3-4 table spoon
- Ek pan ko garam kare.
- Usme oil dale.
- Ab isme bay leaf, elaichi, cinnamon, black pepper dal de.
- Ab isme chopped onion ek cup dale aur fry kare. Jab golden brown hone lage to ginger garlic paste dalkar mix kare.
- Ab usme haldi dale aur mix kare.
- 1 minute tak medium flame par chalate rahe aur capsicum dale.
- Uske bad ek cup chopped tomatoes dale. Ar mix karke dhak de. Fir 2 minute bad salt as per taste dale aur mix karke fir dhak de. Bich bich me chalate rahe.
- Kuch 5 minute bad jab tomatoes sab usme mix hone lge to usme jeera powder, dhaniya powder, red chilli powder aur garam masala dalkar mix kare.
- Achese ab sabko fry kare.
- Ab isme chopped rugda ko dale. Aur sath me fry kare. 10-15 minute bad isme 1-2 cup pani dale. (Pani aap apne hisab se dale).
- Ab isko medium se v kam aach par dhak kar pakane de.
- Bich bich me ise chalate rahe.
- 10-15 minute bad rugda dish ready hai.
- Ek bowl fine chopped rugda le.
- Ek pan ko garam kare aur usme 3-4 table spoon oil dale (1/4 cup of oil).
- Ab usme slice chopped onion dale. Aur saute kare.
- Ab usme chopped rugda dale aur fry kare.
- 5 minute bad salt 1/4 tea spoon dale aur mix kare. Aur rugda ko low flame par 15-20 minute tak fry kare. Dhyan rahe ki rugda finely chopped hai.
- Chat masala v sprinkle kare( optional).
- Sabko mix kare aur kuch minute bad fried rugda ready hai.
- Ab dusre pan masala sab ready karle. Aur fir fried rugda ko dal de.
- Achese mix karde.
- Lijiye fried masala rugda dish ready hai.
- Iske upar chopped coriander leaves sprinkle kare aur serve kare.
- Rugda:- 1 cup
- Corn flour:- 1 table spoon
- Rice flour:- 1/2 table spoon
- Salt
- Pepper
- Ek pan me oil dalkar garam kare.
- Ab ek bowl me fine chopped rugda ko le aur fir isme 1 table spoon corn flour aur rice flour dale. Ab salt aur pepper dalkar mix kare.
- Ab sidha oil me dale aur deep kare.
- Tab tak kare jab tak golden brown ya kahe rugda achese pak na jye.
- Medium flame par agr deep fry kar rahe to 15-20 minute me ready hai.
- Upar se chat masala sprinkle kare aur red chilli flakes.
- Bas ab tomato sauce sath serve karde.
2 Comments
Delicious ЁЯдд….oppo ..ap kha kha se late h ye sb … mind-blowing тЭгя╕П
Nice recipe i want to make it