Jalebi jo itna sweetest dish hai iske v kayi naam hai. India ka ye national sweet hai.
India ke har kone me alg alg tarah ke jalebi dekhne ko milta hai. Ar ye v kafi famous ar logo ka favourite hai. India me total 7 tarah ke jalebi famous hai. Jo na shirf Indians ko pasand hai balki bahar se ayee hue guest, foreigners unko v ye kafi pasand ata hai.
Acha ye v bat hai ki jalebi ke kayi anokhe naam hai jaise ki jilapi ,mushabak etc.
Agar origin ki bat kare to ye Iran ka famous aur cultural food hai. Log ise iftaar time Ramazan ke time enjoy karte hai.
” History of Jalebi”
India me 15th century ke time par jalebi ko kundalika bola jata tha. Ar ye v avi ke time par jaisa banta uske just opposite jalebi recipe rehta tha. Us time par log different ingredients use karte the ar chashni ke liye honey syrup aur rose water ka use karte the. Uss time par v log ise bahut enjoy karte the. Uss time se log aj tak ise koi v party ya celebration time jarur banwate hai.
Independence day aur Republic Day time par India me log ise baacho me batte hai ar celebrate karte hai.
Shadi ho ya koi function Indian culture me jalebi to sabse must hai banna hai. Street stalls me v logo ka bhir dekhne do milta hai.
“Jalebi recipe summary”
Jalebi recipe asan hai bas jo ingredients jitni matra me chahiye agar wo sahi se ho jaye to perfect banta hai. Bs crunchy texture ke liye suji madia ko mix karna hai aur fir dahi dalkar achese mila lena hai. Ab isme halka pani dalkar fetna hai taki na to wo jyada garha ho na he patla ar batter barhiya bane. Ab isko side me rakh de kuch der ke liye. Chashni ke liye chini ar pani ko ubale achese ar fir kuch der bad jab chasni ready ho to elaichi dale. Ar mix kare. Ab batter ko cone me dalkar karahi me jalebi bana kar fry kare. Fir use nikal kar chashni me dal de.
Jalebi ready hai.
” Ghar par banane ki vidhi”
Ghar par work from home wale time par kuch sweet dish khane ka man ho wo v Indian chiz. Specially ham is waqt bahar ka food sab to miss kar he rahe hai. Ham yahi sochte hai ki agar bahar hote to ye wale uncle ke shop se kharid lete. Jo v man kiya khane ka fat se uss shop me jakr kha lete ya kharid lete hai.
Ab ghar par hai to ya to ham bahar ka online order karke mangwa sakte hai. Lekin hota kya hai ki online food order kiya hua thora thnda hojata to wo maja ni ata jo hame garam garam khane me ata hai.
To ham ye sochte hai ki kas asani se ham isse ghar par bana lete ar jab man karta tb khate ar enjoy karte. Par sabse pehle sawal jalebi recipe suna hai magar sahi se crunchy wala taste sab ghar par kaise banaye.
” Jalebi recipe step wise”
To chaliye dekhte h ghar par banye gye jalebi recipe jo bahar ki tarah crunchy v honge.
Aar v recipe ko easy karne ke liye jalebi recipe hindi me bataya hai taki easily aap smjh jaye ar asani se ghar par bana sakte hai.
‘Making of the batter’
xxxxxx
Ingredients:-
- Suji:- 1 bowl
- Maida:- 1/2 bowl
- Curd:- 1 cup
- Water
- Baking powder:- 1/2 tea spoon
- Ek bowl main Suji le.
- Ab usmein maida dalen.
- Dono ko mix Karen.
- Ab ismein dahi acche se a dalkar mix kare.
- Ab batter mein thoda sa Pani dalen aur fir mix Karen taki Jo batter hai na to wo jyada garha ho aur na hi jyada patla.
- Ab is batter ko aadhe ghante ke liye maximum 25-30 minute Tak ke liye cover karke ke rakh denge taki batter acche se ful jaaye.
- Sugar:- 2 cup
- Water
- Elaichi:- 2
- Lemon juice
- Ek Pan garam karenge.
- Usmein ek cup pani dalenge.
- Fir usme 2 cup sugar dalenge.
- Ar ab use pakne denge.
- Chashni ko check karne liye ham ek do drop ek cup me lekar fir finger se touch karnge.
- Agar dono ungli chasni se chipak raha hai ya fir thread jaisa ban raha to chasni ready hai.
- Ab thora swad ke liye elaichi powder ya fir barik kata hua elaichi dale.
- Ab thora sa nimbu ka ras dal de taki wo thanda hone par chashni jame na.
- Ab ek karahi ko garam karke oil dale.
- Batter me 1/2 tea spoon baking powder dalkar mix karde.
- Ek plastic cone le ar usme batter ko dale.
- Oil garam hone ke bad jalebi shape me tel me dale ar deep fry kare.
- Golden brown hone tak fry kare.
- Ab jo chasni hai usme duba kar rakh de.
- 1-2 minute bad lijiye ready h jalebi.
- Aise he sare batter se jalebi bana le.